Wednesday, March 13, 2013

Kyu aaj


Kyu aaj phir yeh ehsaas hua
Mai tanha tha aur tanha reh gya
Uske shokh khwabo me siskana chod diya tha
aaj palke bhi nam hai naa jane kiska maatam hai
chune hue phool mere guldaste kii raunak the
usi  mez par sapno ko bhi rakh choda tha
mallom uski keemat tab na thee
who pholo ka mausam tha, use beete arsaa hua
Kyu aaj phir yeh ehsaas hua
Mai tanha tha aur tanha reh gya
Jhote waayde na jaane kis chandi ke warq se saajaye the
Woh chamakte bhi the aur beswad bhi
Kisi roshandaan se chupkar jo dekha humne
Woh jashn  me hum sirf mehmaan the, use jeete arsaa hua
Bojh dil pe jo rakhte to tumse keh na paate
Hum pigalte hai jaise mom kii koi gudiya
Banane me sadiya lagi fanna pal me ho gaye
Hum sajhte the kisi deewar par banke beshkeemati tasveer
Bazaar me utare to jaan gaye
Apna bhi koi mol bhav kare, aisa koi hai to kaha hai
Use mile arsaa hua

No comments:

Post a Comment