Saturday, November 15, 2014

Yu kuch katre roshni ke chod aye the hum
Tumhare ghar ke kisi kone me ,, chipakar…..
Mujhe maloom hai
In beete salo ne
Thode badle hai mausam is baar tumhare liye
Par nayi dhoop chubti hogi kabhi
To unhe dhoondh lena,,,
Ye roshni hai isme ujala hai , tapish nhi
woh baarish ka halke se boondh ban itraana, woh hawa ka apne joko par khud rijh janna, kisi samandar par abhi yu lehre itrayi, ye mausam ne phir jo lee angrai

Intzaar

tum ana aur barasna mere nayno kii chat par, paudhe prem ke sajaye hai maine waha..
khwabo ki chaadar odi hai , aur halke se rakha hai haath mez par, tum ana to choo lena un haatho ko, mehnedi kii khusboo se sajaya rakha hai maine unhe ab tak..
darwajo ko apne rango me rang rakha hai, aur chaukhate sajayi hai apne geeto se, tum ana to khatkhatana haule haule se, neendo ko chupchap takiye ke neeche jagaye rakha hai humne
ye sab sirf tumhare intzaar me....

Sunday, August 24, 2014

mai badalo ko thame dauri chali aongi, tum phoolo se saja lena chota sa aashiyana humara, sird mausamo me chunenge dhup ko uchi chotiyo par paharo kii, tum raat ko gungunana naam mera, ini anjaan benaam din aur raaato me saja lenge hum apne pyaar ko, jaise sajate hai gharoda apne ye panchiii aasmano se pare...

Saturday, August 23, 2014

Mujhe zinda hee rakh

girti uthti takdiro ke faisalo ki keemat mat pooch
ye zamane ke tarazoo hai isme milawate bhi bahut hai
ye dekh abhi baki hai lahu ke daurne ka shor
mujhe har haal me jinda hee rakh


abhi abhi kudh parchaiye ne poocha hai mujhse mere hone ka sabab
usne kuch poocha hai yahi kafi hai
hai baki abhi jeene ki thodi see tapish aur
is tapish is garmahat me thodi der aur mujhe jeenda hee rakh

Thehrenge in raasto ke beech kabhi uske kadam bhi
ye soch uni galiyo me ghar kiraye par basa rakha hai
abhi abhi to zikr mera hua hai shayad
kisi ne poocha hai purana naam jo mera
kisi na kisi darwaze ko khatkhatayenge ab woh shayad 
is umeed mai hee sahi par mujhe jinda hee rakh.

dikhti hai talash meri har arzoo me
kisi bikhre hue sawaal ki tarah
woh koi to hai jo sambhal raha hai 
kitaab me purane phoolo ko
ye phool mere haatho se bhi shayad guzre hai
ishq ki woh kitaab abhi bheji hee unhe,
ek panne ke pade jane tak
mujhe har haal me jinda hee rakh