Bhagti parchhayiia tere is sheher me roz milti aur khoti hai,
Yaha zindagi bus yu hee guzar hoti hai,
Pareshaaniyo kee laakiro ko liye,
kabhi ruborro hota huun roz me bhi usse,
Lagta hai tere sheher me aise hee subah se shaam hoti hai,
Us unjaan se saksh ko jab dekhta hu,
Nazar uske maaathe kee lakeero par jaati hai,
Maano bachpaan ko chuppa liya ho in adher seee lakiroon ne
Lagta hai tere sheher me yu hee umr kam hoti hai,
Wo daurta dikhta hai mujhe roz kisi na kisi maur pe,
Jaise dhoond raha ho, tere sheher se bahar kaa rasta,
Usko batane ka mera housla nahi
kee jis maur se bhi jayega wo, har rasta tujhe aur sheher ke paas layega…
Lagta hai, tere sheher me roz yu hee har kisi kee talash zaya hoti hai
Chamakti roshti jise dekhkar daurkar aaya tha wo, tere sheher me,
Aaj aak me uske chubne see kyun lagti hai,
Bheed hai jaha tak dekho,
Bus bheed ke beech bheed , dur tak dekho,
Naam leker koi use pukarta nahi,
Lagta hai tere sheher me yu hee baat hoti hai,
bus kush sochkar darr jata hoon me,
abhi naya yu tere sheher me,
kahi me bhi kho naa jaoon is bheed me is tarah kee
mehsoos hee naa ho ki ghar bhi lautna hai,
lagta hai yahi sochkar who bhi aaya hoga,
jo saddiyo se yaha hai,
lagta hai tere sheher me aise hee bheed badti hai……..
kya baat hai ..
ReplyDeletekiske shaher ki baat ho rahi hai .. lolxxx