Aksar paarchaahiya darati hai,
Us andhere kee,
Jisne kisi gumnaam see gali me mujhe mujh se chupa diya tha,
Who raat jashn me dhoobne ko heee thi,
Who jam yu chalkne ko hee thee
Who taaare yu zanmi choone nikle hee thee,
Kee needh se me jag
Khawab yu mera toot
Woh sheher basne ko tha,
Chirrag jalne ko the,
Naye garo me purane log,
Naye se lagne hee lage the,
Gali me halchalo ka daur tha,
Mera ghar bhi ek kone me chupchaap,
Khada sheher kee ragat me rangne ko tha,
Kee needh se me jag
Khwab yu mera toot
Nazuk see hatheli par ,
Woh boodh is saal kii pehli bearish kii,
Padne ko hee thee,
Kagaz kee kashti yu masoom se bachoo ke
Hatho se chootne ko thee,
Mere aagan kee mithi pani mil,
Kuch mehekno ko hee thee
Kee needh se me jag
Khwab yu mera toot
Pareshaanyu kee lakker jo ab tak hatheliyu me bichi rehti thi,
Meri shakl par ubherne lagi
Waqt ka saillab kisne dekha tha pehle,
Ek pal me hissab barabar ho
Me utha hoon har baar
Beech me khawab ke,
Band jo karronga is baar aanko ko
To waqt tu bhi haar jayega,
Is baar ka khwab nahi tootega mera,
Bandh aakho se hee alwida keh doonga jo tujhe zindagi….
Didu, you cannot discover the purpose of life by asking someone else – the only way you’ll ever get the right answer is by asking yourself.
ReplyDelete