Saturday, July 24, 2010

Waqt kee aahate

Kabhi thame waqt kee chubhan

Kabhi yu ufffan bharti ye zindagi

Mujhe kuch ehsaas dillati aane waale waqt kee ye aahete nazuk see

Kabhi aakh micholi karti

Kabhi kudh ko dhonte hue khud hee kho jaati

Massoom se baache ke tarah lagne waali

Dheere dheere yu pass aane kee khawahish me

Aane waale waqt kee aahate khilkhilati see

Dhoop me seki se, aur phir bhi chehekti hue

Us raste ke pakdandiyu kee tarah

Tede medi ulajti hue,

Kisi raahghir ke intzaar me jaise humesha se

Naye kadmo kee talash me

Aane waale waqt kee aahate bechain see,

Sawarti hue, jhoomti hue, yu ghata see

Baadal se baat karti hue

Barasne koo tarasti hue

Neele sapno ke jaal se chootkar

Hari chaadar thamna koo

Kabhi halke kabhi garajke barasne ko

Aane waale waqt kee aahate bheegi hue see,

Khamosh see lagne waali

Ek sharmaati hue ladki see

Kabhi darpan me khud ko chupchap niharti see

Sapno me dhoobte uske nayanko see

Aane waale waqt kee ye aahete chor see

Me intzaar me us pal ke

Jaise humesha se

Kab kaidh ho jaaye

Aur mere attit ka hissa ban jaye

Aane waale waqt kee ye aahte apni see……

1 comment:

  1. Here ...

    Time goes, you say ? Ahh no Didu!
    Alas, Time stays, we go.

    I say : We talk of killing time, while time is quietly killing all of us.

    Lovely Post on Waqt !!

    ReplyDelete