Saturday, July 24, 2010

Teri Paribhasha

Shabdo me ulajkar yu reh gaya man

Jab jab tujhe paribhashit karne kee koshish kee,

Shabd the kam aur tu jyada,

Is hissab me kahi chuuk gaye hum.

Tujko kaise aakar de,

Tu aakash se vistrat aur saagar se gehra,

Tu swayam me samay ke jaisa,

Phir tuhpe kaise laga du,

yu kuch shabdo kaa pehra

Tu rango me apna naya rang bharde,

Tu kisi bhi taal me swar bhar de,

Yu massom se bachee sa,

Jaise deewaro ko ghar kar de,

Masuam jaise teri muskurahoto par badalte,

Aur hawa kaa rukh tujhe se pooche,

Kise ab bheegado apni dharrooo se

Ye garajte baadal tujhse pooche

Tu nayone me basta madhur swapn

Tu angraaayi leta hua kal,

Tu khushiyo kee paarchiiya sa,

Tujhme dhoota me apne kuch pal

Kuch pal tere saath bithaoo

Kuch teri suno kuch apni batoo

aisa man hath karta hai,

usko samjoo kaise,

tu dur yaha se rehta hai.

koi tumko mithya kehta

Koi kehta tum sundar sapna,

me to bus itna samjhoo ,

anjaani se is bheed me tu koi mera apna.

Shhabdo se is baar miloo tu bas itna kehna hoga,

Kuch sundar ehsaas hai,

Aur kuch unse bhi sundar log.

Koi naye shabd khojo jo

Nahi to unke barre me kaise likhna hoga…

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. wow ..
    what a way to define someone but actually here u are defining your self because when you define someone, you do not define him/her, you define your self ...

    ReplyDelete
  3. Shabd the kam aur tu jyada,
    Is hissab me kahi chuuk gaye hum.

    ab shabdon mein kya kaha jaaye aur.. unki seema to tumne baandh di hai..
    amazed

    ReplyDelete