Monday, July 19, 2010

Naa mai Naa woh

Kis taalash mei mai yu ghulta jaa rha,
Naa mera aks mera saath de rha, na meri ruh
Junoo phir kis wajah se meri need saath le gaya
Kii kaafiro sa mujhe mehsoos hone laga,
Aur jab ab is daur ka hissa ban gaya
Naa mera dil mera saath de rha, na mera sukoon,
Khwahisho ke bheech mai kaun dekhta hai anjaam,
Bus bepanah ranginiyo ke peeche daurta hai
Ye khokhle khwab jo mere aaj ka hissa hai,
Naa mera kal saath de rha, na mera aaj
Rubaroo jo kismat se hua apni is baar
Lafz kuch dhoondne honge aise
Kii meri saza ka usse ilm ho jaye jo ab
Naa mera imman mera saath de rha, na mera yakeen
Is manzar se bahar ek befikri ka alaam hai,
Ye mujhe maaloom hai
par halaat is baar mere yu badle hai ki
naa woh mera saath de raha, na mai khud

2 comments:

  1. Bahut dino baad kuch aacha padha hai.............mast likha hai............

    ReplyDelete
  2. awesome post Didu and i would like to say once again that you expressed yourself awesomely...
    love u ...

    ReplyDelete